ghar se nikal ke shahr ke raste ko ghurna phir gham-zada si nazm ke misre ko ghurna do mashghale aziz hain is hijr-zad ko bistar pe letna kabhi pankhe ko ghurna hargiz nahin hun main nahin hun koi aur hai pagal sa aks dekh ke shishe ko ghurna diwangi ke khauf se phir chikh chikh kar kamre mein jhankte hue bachche ko ghurna kis haal ji raha hun main chaho jo jaanna to dhup mein khade hue paude ko ghurna 'rahib' dukhon ki gard mein lipte sitam-zarif ashkon ka bojh jhelte takiye ko ghurna