phul par os ka qatra bhi ghalat lagta hai jaane kyun aap ko achchha bhi ghalat lagta hai mujh ko malum hai mahbub-parasti ka azab der se chand nikalna bhi ghalat lagta hai aap ki harf-adai ka ye aalam hai ki ab ped par shahd ka chhatta bhi ghalat lagta hai ek hi tir hai tarkash mein to ujlat na karo aise mauqe pe nishana bhi ghalat lagta hai shakh-e-gul kat ke tirshul bana dete ho kya gulabon ka mahakna bhi ghalat lagta hai