jab bhi nigah-e-saqi dil ko tatolti hai arman bhi dolte hain niyyat bhi dolti hai wo aaine mein aise mahsus ho rahe hain angdai le ke jaise taswir bolti hai kis waqt se khushi ko aawaz de raha hun dekhen wo naznin kab darwaza kholti hai jaane ye kya hua hai doshiza-e-khirad ko ghabra ke dekhti hai sharma ke bolti hai ek waqt tha 'adam' jab wo khud na bolte the ek waqt ye hai un ki taswir bolti hai