ghar se tumhaari di hui chizen nikal den jaise khud apne jism se sansen nikal den dekha bas ek dafa use main ne qarib se phir ahl-e-shahr ne meri aankhen nikal din hairat hai us ne qaid bhi khud hi kiya mujhe phir khud mere farar ki rahen nikal din kuchh us ne bhi saheliyon ke munh se sun liya kuchh mere doston ne bhi baaten nikal din ek pal mein khatm ho gai umr-e-tawil bhi jab zindagi se hijr ki raaten nikal din jaane wo kis ke waste likhi gain ai dost main ne musawwade se jo nazmen nikal din