pareshan hun tera chehra bhulaya bhi nahin jata kisi se haal-e-dil apna sunaya bhi nahin jata wo aa jae to ye bhi kah nahin sakta thahar jao agar wo ja raha ho to bulaya bhi nahin jata zaban khamosh rahti hai par aankhen bol deti hain in aankhon se to raaz-e-dil chhupaya bhi nahin jata sabhi 'imrran' ki surat nahin hote hain duniya mein har ek insan ko dil mein basaya bhi nahin jata koi taqat mujhe marne nahin deti hai ai 'sagar' main marna chahta hun zahr khaya bhi nahin jata