haqiqaton ka nai rut ki hai irada kya kahaniyon hi mein le sans shahzada kya ye rang-zar hai apna paron pe titli ke dhanak ho khud mein to phulon se istifada kya mohabbaton mein ye ruswaiyan to hoti hain sharafaten teri kya mera khanwada kya agar wo phenk de kashkol apne wirse ka to is jahan mein kare bhi faqir-zada kya ziden to shan hua karti hain raison ki jo chauthi samt na jae wo shahzada kya ye mere naqsh ye meri sharafaten 'azhar' ab aur chahiye is se mujhe ziyaada kya