rabt har bazm se tute teri mahfil ke siwa ranjishen sab ki gawara hain tere dil ke siwa aise pahlu mein sama jao ki jaise dil ho chain milta hai kahan mauj ko sahil ke siwa chikh takra ke pahadon se palat aati hai kaun sahta hai bhala war muqabil ke siwa khushk patton se chhuda leti hain shakhen daman kis ne yaadon se nibhai hai yahan dil ke siwa ek bichhde hue sae ke taaqub mein 'bashar' sabhi rahon pe gae hum rah-e-manzil ke siwa