gharq kar den na kahin yas ke tufan mujh ko ye kidhar le ke chale hain mere arman mujh ko khud mashiat ne kiya ishq-badaman mujh ko kyon na tadpae phir ab gardish-e-dauran mujh ko meri nakaami-e-taqdir ka anjam na puchh mauja-e-ashk hua baada-e-irfan mujh ko aish-e-duniya ke maze the dil-e-marhum ke sath ab to duniya hai faqat gosha-e-viran mujh ko hae kya kya na kiya ek mazaq-e-gham ne chaak-dil chaak-jigar chaak-gareban mujh ko kab hai mahdud bahaaron mein nazar ki wusat yani ye phul bhi hain khar-e-mughilan mujh ko nazar aane lagi har zarra mein apni hi shabih kar diya kasrat-e-nazzara ne hairan mujh ko dil ki tamir ka zamin hai kamal-e-takhrib dard ho jaega khud dard ka darman mujh ko bahr-e-ulfat mein nahin khwahish-e-sahil ai 'mauj' main na tufan ko chodunga na tufan mujh ko