main khud hi ishq mein majbur hun wafa ke liye khuda ka wasta mujh ko na de khuda ke liye na aam kar tu mazaq-e-jafa khuda ke liye ye dil bahut hai tere jaur-e-na-rawa ke liye thi na-guzir fana aalam-e-baqa ke liye ek intiha bhi zaruri thi ibtida ke liye mujhe duaon se apni nahin umid-e-asar magar hanuz main aamada hun dua ke liye unhin ko mang lun un se jo wo ijazat den main intizar mein hun izn-e-iltija ke liye majaz aur haqiqat hain sadd-e-rah-e-jamal ye sab fareb hain chashm-e-haq-ashna ke liye shamim-e-zulf teri us ko mil gai shayad sukun aaj mayassar nahin saba ke liye chaman hai wo hain bahaaren hain aur fursat hai ab intizar hai ghanghor ek ghata ke liye wafa ki koshishen fikr-e-visal ranj-e-firaq bade azab hain ek jaan-e-mubtala ke liye jahan-e-ishq mukammal nahin hua ab tak makan ujad gae lakhon isi bina ke liye shikast-e-ahd gham-e-hijr intizar-e-sahar dawa kahan hai mere dard-e-la-dawa ke liye ye dil hai pahle bhi dil hi tha lekin ab ai dost bana diya ise patthar teri jafa ke liye ye zauq-e-sair mera ye tabahi-e-tufan main ek wabaal hun ai 'mauj' nakhuda ke liye