yun dawat-e-shabab na do main nashe mein hun ye dusri sharab na do main nashe mein hun aisa na ho ki nashshe mein kat jae zindagi aankhon ko koi khwab na do main nashe mein hun itna bahut hai tum se nigahen mili rahen ab bas karo sharab na do main nashe mein hun yaro dil-o-dimagh mein kafi hai fasla uljhe hue jawab na do main nashe mein hun aisa na ho ki raaz tumhaara main khol dun dekho mujhe jawab na do main nashe mein hun daman ka hosh hai na gareban ka hosh hai kanton bhara gulab na do main nashe mein hun khud ko sambhaalna yahan mushkil hai dosto chhalki hui sharab na do main nashe mein hun jo lamhe 'nur' hosh mein rah kar guzar gae un ka abhi hisab na do main nashe mein hun