mujh ko har phul sunata tha fasana tera tere daman ki qasam apne gareban ki qasam gunjta rahta tha ek naghma mere kanon mein tapish-ahangi-e-mizrab-e-rag-e-jaan ki qasam iltifat-e-nigah-e-naz ka sauda tha kabhi khatm wo daur hua gardish-e-dauran ki qasam ab na wo dil hai na wo walwala-e-arz-e-niyaz hath se chhute hue gosha-e-daman ki qasam mujh ko barbaad hi rahne de talafi se guzar ishq ehsan hai giran-bari-e--ehsan ki qasam adab-amoz-e-mohabbat hai mohabbat meri warna khata tere tode hue paiman ki qasam