piri mein dil shabab ka khwahan kahan raha iflas mein uruj ka arman kahan raha sajda kiya buton ko to iman kahan raha ai banda-e-khuda tu musalman kahan raha aamal-e-bad pe apne jo roya dam-e-fana mera siyah nama-e-isyan kahan raha mansur ne kaha jo anal-haq hua na zabt sab raaz fash ho gaya pinhan kahan raha rindon ko pith pichhe bura kah raha hai tu waiz mujhe bata tu musalman kahan raha raftar-e-yar dekh ke nadim hua kahan kabk-e-dari chaman mein khiraman kahan raha un se ziya-e-chehra-e-jaanan jo dekh le tabinda charkh par mah-e-taban kahan raha allah re zor-e-dast-e-junun ka bahaar mein salim har ek tar-e-gareban kahan raha fasl-e-bahaar mein tha ye mere junun ka zor daman kahan raha hai gareban kahan raha nikli jo ruh jism se begana ho gai tha jo ki ittihad-e-tan-o-jaan kahan raha sunte hi aib aur hunar us ka dekh le aisi sifat ka koi sukhan-dan kahan raha musa ko tur par jo tajalli nazar padi waraftagi mein hosh ka saman kahan raha nazzara roz karta tha ru-e-nigar ka poshida meri aankh se quran kahan raha samjhe hain ghar khuda ka ye but-khana wo haram phir ittifaq-e-kufr-o-musalman kahan raha kanton mein phans ke ho gaya sad-chaak shakl-e-gul salim bahaar mein mera daman kahan raha sham-e-sahar ki tarah se be-nur ho gaya piri mein dagh-e-ishq numayan kahan raha ho nukta-sanjiyon se teri shad ai 'wafa' aisa jahan mein koi sukhan-dan kahan raha