ghatti badhti raushniyon ne mujhe samjha nahin main kisi patthar kisi diwar ka saya nahin jaane kin rishton ne mujh ko bandh rakkha hai ki main muddaton se aandhiyon ki zad mein hun bikhra nahin zindagi biphre hue dariya ki koi mauj hai ek dafa dekha jo manzar phir kabhi dekha nahin har taraf bikhri hui hain aaine ki kirchiyan reza reza aks hain salim koi chehra nahin kahte kahte kuchh badal deta hai kyun baaton ka rukh kyun khud apne-ap ke bhi sath wo sachcha nahin