jahan ras mujhe aa gaya jahan ko main so modta hun ab apni taraf kaman ko main meri zamin ko jaise usi ne chhina ho kabhi kabhi to yun takta hun aasman ko main yaqin kar ki teri be-rukhi se pahle bhi kabhi bhara nahin rakhta tha phul-dan ko main zara si dhup zaruri hai har kisi ke liye yahi bata nahin pata hun saeban ko main us ek lamhe mujhe yaad kyon nahin rahta adhura chhod bhi sakta hun imtihan ko main khuda kare koi kirdar aisa mil jae ki dastan mujhe khinche dastan ko main 'amit-bajaj’ ye fe’lun mafa’ilun kya hai nahin samajhta hunar aisi khinch-tan ko main