zindagi is ke siwa ab aur hal koi nahin

zindagi is ke siwa ab aur hal koi nahin
maut hai aur maut ka nemul-badal koi nahin

dil kisi bhi baat par qaem nahin rahta kabhi
faisla jaisa bhi ho hota atal koi nahin

hath hai aur dastaras mein kuchh nahin rakkha gaya
bagh hai lekin wahan mausam ka phal koi nahin

hausle ki dad do ki faisla sunte hue
hont bhi khamosh hain mathe pe bal koi nahin

wasl ka ek bab bhi aankhon mein tera khwab bhi
kal talak maujud tha par aaj-kal koi nahin

ishq ke is din mein hum bhi munafiq ho gae
pahla kalima padh liya lekin amal koi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close