ghazab ke taish mein wo shokh-dida aaya tha ba-shakl-e-qahr tha khanjar-kashida aaya tha suluk-e-husn-e-talluq bane ye hangama ki har taraf se burida ramida aaya tha kiya tha shauq ne betab dida ne muztar wo zauq-e-lutf ka lazzat-chashida aaya tha wafa-misal sarapa niyaz ba-tamkin faqir pa-e-ba-daman-kashida aaya tha hua na qurb-e-talluq ka ikhtisas yahan ye ru-shanas zi-ra-e-baida aaya tha diya na saqi-e-rana ne jam-e-kaif-e-murad sala-e-am ka shohra shunida aaya tha