mausam-e-yaad yun ujlat mein na ware jaen hum wo lamhe hain jo fursat se guzare jaen ho ke ruswa wo hua jis ki kabhi hasrat thi hum tere nam se mahfil mein pukare jaen aap ka husn hai jitna bhi numaish kije han bas itna hai ki masum na mare jaen yan se ab rah-e-adam su-e-falak jati hai aaiye panw hawaon mein utare jaen ek tere nam ka tha sath ki ab wo bhi nahin ab tere shahr bhala kis ke sahaare jaen khamushi tod ke sar le li ye kaisi wahshat aisa lagta hai ki bas tum ko pukare jaen ho chuka tang main zindan-e-khamoshan se bahut kuchh parinde hi meri chhat pe utare jaen zindagi bhi to kabhi maujon se lad kar dekhe sirf kya hum ko gharaz hai ki kinare jaen aaj ki raat andheron ki hai darkar mujhe aaj ki raat meri chhat se sitare jaen