hawa ke pas bas ek taziyana hota hai isi se shahr o shajar ko darana hota hai wo sari baaten main ahbab hi se kahta hun mujhe harif ko jo kuchh sunana hota hai munafiqon mein shab-o-roz bhi guzarta hun aur un ki zad se bhi khud ko bachana hota hai kitab-e-umr bhari ja rahi hai lekin kyun na koi lafz na chehra purana hota hai wahan bhi mujh ko khuda sar-buland rakhta hai jahan saron ko jhukae zamana hota hai