khub bujha hun main us yar kun kui kya jaane is tarah ke but-e-ayyar kun kui kya jaane le gain hat sen dil us ki jhuki hui aankhen hila-e-mardum-e-bimar kun kui kya jaane main na bujha tha teri zulf-e-girah-dar ke pech sach ki kaifiyat-e-makkar kun kui kya jaane sharh-e-be-tabi-e-dil nin hai qalam ki taqat tapish-e-shauq ke tumar kun kui kya jaane sharbat-e-khun-e-jigar ka maza aashiq pawe lazzat-e-ishq-e-jigar-khar kun kui kya jaane mashrab-e-ishq mein hain shaikh-o-barhaman yaksan rishta-e-subha-o-zunnar kun kui kya jaane namak-e-zakhm hua marham-e-galinosi khalish-e-sina-e-afgar kun kui kya jaane tauq-o-zanjir nahin jis pe kise rahm aawe dam-e-ulfat ke giraftar kun kui kya jaane jab talak talkhi-e-shoraba-e-gham chaakha nin tab talak lazzat-e-didar kun kui kya jaane qadr us nafa-e-tatar ki mujh sen puchho yar ki zulf ki mahkar kun kui kya jaane main kaha zakhmi-e-gham hun to diya us ne jawab ai 'siraj' aise chhupe war kun kui kya jaane