hai tonk arz-e-pak wahin se uthenge hum utthi jahan se khak wahin se uthenge hum diwar-e-mai-kada ke udhar salsabil hai farzandagan-e-tak wahin se uthenge hum muddat se band hai jo daricha bahaar ka ai kunj-e-na-tapak wahin se uthenge hum pairahan-e-falak pe jahan khatt-e-nur hai daman hai wan se chaak wahin se uthenge hum hum ne wahin pe chand ko dekha hai multafit wo ghar hai tabnak wahin se uthenge hum is khak hi ne khak ko pala hai umr bhar paya jahan se kak wahin se uthenge hum 'arshad' hum apne shahr se aa to gae magar apni wahin hai dhak wahin se uthenge hum