kisi ki yaad phir KHalwat-nashin malum hoti hai

kisi ki yaad phir khalwat-nashin malum hoti hai
tabiat aaj-kal andoh-gin malum hoti hai

mohabbat ka har ek sajda bhi mearaj-e-mohabbat hai
maqam-e-arsh ab meri jabin malum hoti hai

kabhi shabnam kabhi tare kabhi tum muskuraate ho
mohabbat ki har ek saat hasin malum hoti hai

zara tum hath rakkho ya khalish dard-e-mohabbat ki
yahin malum hoti hai yahin malum hoti hai

agar tum muskurao bhi to dil par chot lagti hai
tumhaari har ada dard-afrin malum hoti hai

idhar ru-posh hain tare udhar ghar mein udasi hai
shab-e-gham kya qayamat-afrin malum hoti hai

har ek zarre mein rangini hai ki khuni mohabbat ki
tumhaare hi ye kuche ki zamin malum hoti hai

jahan rakhta hun sar apna simat aati hai kul duniya
mujhe taqdis-e-sajda ab kahin malum hoti hai

mohabbat ki main kis manzil mein hun allahu-akbar ab
musibat bhi masarrat-afrin malum hoti hai

zara thahro mujhe kahne bhi do rudad-e-gham apni
ajab-khoshi tumhaari nukta-chin malum hoti hai

main sahra mein bhi jannat ke maze leta hun ai 'faiq'
tabiat khud meri husn-afrin malum hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close