ghirte baadal mein tanhai kaisi lagti hai milan ka mausam aur judai kaisi lagti hai sune man ke taron se jab baaten hoti hon duje aangan ki shahnai kaisi lagti hai dil ki chot ubhar aae aur zakhm hare ho jaen yaadon ki chalti purwai kaisi lagti hai tum ko shahr-e-khayal mein rahna kaisa lagta hai wo basti jo dil ne basai kaisi lagti hai chadhte rup ki suraj dewta aur bhi man badhaen dhundli aankhon ki binai kaisi lagti hai jag bite jab jagmag ye dil us ki jot se tha ab jo wo surat phir yaad aai kaisi lagti hai dil to apna bhar bhar aae niyyat nahin bhare umr ka hasil aisi kamai kaisi lagti hai bachpan aur jawani budhi umr ke dar pe hain tinon zamanon ki yakjai kaisi lagti hai 'baqar' sari umr guzari ku-e-malamat mein aakhir umr ki ye ruswai kaisi lagti hai