mujhe shikwa nahin barbaad rakh barbaad rahne de magar allah mere dil mein apni yaad rahne de qafas mein qaid rakh ya qaid se aazad rahne de bahar-surat chaman hi mein mujhe sayyaad rahne de mere nashad rahne se agar tujh ko masarrat hai to main nashad hi achchha mujhe nashad rahne de teri shan-e-taghaful par meri barbaadiyan sadqe jo barbaad-e-tamanna ho use barbaad rahne de tujhe jitne sitam aate hain mujh par khatm kar dena na koi zulm rah jae na ab be-dad rahne de na sahra mein bahalta hai na ku-e-yar mein thahre kahin to chain se mujh ko dil-e-nashad rahne de kuchh apni guzri hi 'bedam' bhali malum hoti hai meri biti suna de qissa-e-farhad rahne de