tumhaari muntazir yun to hazaron ghar banati hun wo rasta bante jate hain kuchh itne dar banati hun jo sara din mere khwabon ko reza reza karte hain main un lamhon ko si kar raat ka bistar banati hun hamare daur mein raqqasa ke panw nahin hote adhure jism likhti hun khamida sar banati hun samundar aur sahil pyas ki zinda alamat hain unhen main tishnagi ki had ko bhi chhu kar banati hun main jazbon se takhayyul ko nirali wusaten de kar kabhi dharti bichhati hun kabhi ambar banati hun mere jazbon ko ye lafzon ki bandish mar deti hai kisi se kya kahun kya zat ke andar banati hun