kho jaenge hum tum bhi milne ka ye pal jaise

kho jaenge hum tum bhi milne ka ye pal jaise
kho jata hai mazi mein bita hua kal jaise

aao meri bahon mein yun aa ke simat jao
aaghosh mein jamuna ke hai taj-mahal jaise

diwana mujhe kah kar mahfil se uthate ho
tum kyon nazar aate ho 'hafiz' ki ghazal jaise

furqat ka to ek lamha sadiyon ko samete hai
ai dost masarrat ki ek umr hai pal jaise

aankhon ka hai ye manzar honton ka hai ye aalam
pani mein kanwal jaise mahfil mein ghazal jaise

haalat 'said' apne kuchh aise hi uljhe hain
bikhri hui zulfon mein pad jate hain bal jaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close