ghubar hoti sadi ke sahraon se ubharte hue zamane nae zamanon mein aae tujh ko talash karte hue zamane udas shamon ki sard raaton mein tere ushshaq dekhte hain palak jhapakte hue darichon mein subh karte hue zamane agar ye sab karobar-e-hasti teri tawajjoh se hat gaya hai to phir ye kis ne sambhaal rakkhe hain sab bikharte hue zamane bisat-e-imkan par taghayyur ka husn mohre badal raha hai charagh-e-hairat ki lau mein zinda hain raqs karte hue zamane zamin suraj ke gird apne madar mein ghumti hai jaise teri gali ka tawaf karte hain yun guzarte hue zamane