kuchh na kuchh sochte raha kije

kuchh na kuchh sochte raha kije
aasman dekhte raha kije

chaar-diwari-e-anasir mein
kudte-phandte raha kije

is tahayyur ke kar-khane mein
ungliyan katte raha kije

khidkiyan be-sabab nahin hotin
takte-jhankte raha kije

raste khwab bhi dikhate hain
nind mein jagte raha kije

fasl aisi nahin jawani ki
dekhte-bhaalte raha kije

aaine be-jahat nahin hote
aks pahchante raha kije

zindagi is tarah nahin katti
faqat andazte raha kije

na-sipasan-e-ilm ke sar pe
pagdiyan bandhte raha kije


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close