ghul si gai ruh mein udasi ras aai na hum ko khud-shanasi har mod pe be-kashish khadi hai ek khush-badani o kam-libasi lalach mein paron ke pair chhute ab rakht-e-safar hai be-asasi nafs-e-mazmun isi mein hai go mazmun-e-nafas hai iqtibasi aai bhi to kya nigar-e-tabir odhe hue khwab ki rida si jadu sa alam ka kar gai 'saz' un aankhon ki multafit udasi