kaun kis ke sath rahta hai makan hote hue bhi kaun chalta hai zamin par aasman hote hue bhi kaun jaane khair ka pahlu kahin raushan ho shayad hum tumhaare shahr mein hain be-aman hote hue bhi tez barish mein bhi kitne pyas ke mare pade hain dhup mein jalte hain kitne saeban hote hue bhi is andheri raat mein wo chand niklega yahan se ek daricha ain-mumkin hai guman hote hue bhi nau-shagufta ek shajar ka qad nikalna hai qayamat aur us ka be-khabar hona jawan hote hue bhi koi titli gul ka chehra chumti rahti hai akasr phailti rahti hai khushbu raegan hote hue bhi is ghane jangal ka jalna apni sarhad se nikalna bastiyon ko yaad hai sab kuchh dhuan hote hue bhi mahi-e-be-ab sa betab hai sara zamana aur main shadab hun aatash-bajaan hote hue bhi zindagi main ne tumhein har haal mein aabaad rakkha rote hanste jite marte be-nishan hote hue bhi rah-e-sheristan se guzra hai koi khurshid-'akbar' 'mir' o 'ghaalib' ka ilaqa darmiyan hote hue bhi