ghunche se muskura ke use zar kar chale nargis ko aankh mar ke bimar kar chale phirte ho bagh se to pukare hai andalib subh-e-bahaar-e-gul pe shab-e-tar kar chale uthte hue jo dair se li madrase ki rah tasbih shaikh-e-shahr ki zunnar kar chale aae jo bazm mein to utha chehre se naqab parwane hi ko shama se bezar kar chale aazad karte tum hamein qaid-e-hayat se is ke ewaz jo dil ko giraftar kar chale uth kar hamare pas se ghar tak raqib ke pahunchega wo koi jo hamein mar kar chale lo khush raho ghar apne mein jis shakl se ho tum do chaar nale hum pas-e-diwar kar chale andoh-o-dard-o-gham ne kiya azm jab idhar hum ko adam se qafila-salar kar chale 'sauda' ne apne khun ki diyat tum se yak-nigah chahi to itni baat se inkar kar chale pyare khuda ke waste tuk apne dil ke bich insaf to karo ye kise mar kar chale