sitara-saz ye hum par karam farmate rahte hain andheri raat mein jugnu sa kuchh chamkate rahte hain suna hai shor se hal honge sare masale ek din so hum aawaz ko aawaz se takraate rahte hain jahan mein amn kaise phailta hai kaise phailega wo sab ko tir se talwar se samjhate rahte hain ye kaisi bhid mere gird hai ghabra gaya hun main tamasha dekhne wale to aate jate rahte hain bada dilchasp karobar ab ke sal chal nikla hawas ke aaine ko ishq se chamkate rahte hain isi duniya se diwaren uthana hum ne sikha hai hum is duniya ko har diwar se takraate rahte hain