kya dhundte ho ab jaras-e-raftagan ki dhul ek karwan ke sath gai karwan ki dhul kal tak the mera qafila hum jis ke dosto anjam-e-kar ab hain usi karwan ki dhul madfan teri gali mein banane chale to hain ye aandhiyan bataengi hum hain kahan ki dhul rah mein ye kaun aabla-payan-e-shauq hain mud mud ke dekhti hai jinhen karwan ki dhul larzan hain baam-o-dar pe gai mahfilon ke sae aankhon mein ud rahi hai dayar-e-butan ki dhul kaise tumhaari pyas bujhaen musafiro hum to hain ek chashma-e-reg-e-rawan ki dhul daman mein kaun bandhe 'musawwir' hamein yahan gard-e-mazar hum na kisi aastan ki dhul