ghurub-e-mehr ka matam hai gulistanon mein

ghurub-e-mehr ka matam hai gulistanon mein
nasim-e-subh bhi shamil hai nauha-khwanon mein

jahan the raqs-e-tarab mein kabhi dar-o-diwar
balaen nach rahi hain ab un makanon mein

andheri raat bhayanak khandar muhib faza
bhatak raha hun ajal ke siyah-khanon mein

ye aamad aamad-e-tufan-e-shab khuda ki panah
tuyur-e-sham simat jaen aashiyanon mein

ye saen saen ki aawaz hai ki maut ki huk
jo gunjti hai shayatin ke taranon mein

nadim-e-shab koi afsana-e-fusun-o-tilism
ki zindagi ki jhalak hai inhin fasanon mein

nahin hai shahr-e-wafa ki tabahiyon ka gila
magar wo log jo rahte the in makanon mein

ajib thin ye gharibon ki bastiyan lekin
gharib rah na sake in gharib-khanon mein

hamari gard-e-safar bhi na ab mile shayad
'rais' ahl-e-tamanna ke karwanon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close