kirdar kah rahe hain kuchh apni zaban mein

kirdar kah rahe hain kuchh apni zaban mein
kitni kahaniyan hain isi dastan mein

jab aaj tak na baat mukammal hui koi
ye log bolne lage kyun darmiyan mein

barson mein kat raha hai yahan arsa-e-hayat
sadiyan guzar rahi hain kahin ek aan mein

us din ke baad sochna mahdud kar diya
aisa khayal ek din aaya tha dhyan mein

hone ki intiha hai wahi aaj tak 'malal'
jo ibtida mein ho gaya is khak-dan mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close