khayal-o-khwab bhi wo hirz-e-raegan bhi wo sarir-e-khama-e-angusht-e-khun-chakan bhi wo jo kuchh kahun to sarishk-e-sar-e-mizhah bhi wahi main chup rahun to mere dard ki zaban bhi wo na raste hain na manzil hai aur na zad-e-safar hai sang-e-mil bhi wo gard-e-karwan bhi wo mera qiyam mujhe zindagi se kat na le ki ab yaqin bhi mera wahi guman bhi wo wahi hai tirgi-e-dasht-e-dil ba-jaan lekin sitara-e-shab-e-hijran ki kahkashan bhi wo 'matin' us ke liye dam-e-agahi na bichha wo teri jaan bhi hai jaan ka ziyan bhi wo