ghurur-e-ulfat ki tarz-e-nazish ajab karishme dikha rahi hai hamari ruthi hui nazar ko teri tajalli mana rahi hai wo tur wali teri tajalli ghazab ki garmi dikha rahi hai wahan to patthar jala diye the yahan kaleja jala rahi hai mere nasheman mein shan-e-qudrat ke sare asbab hain muhayya hawa safai pe hai muqarrar charagh bijli jala rahi hai na us ke daman se main hi uljha na mere daman se ye hi atki hawa se mera bigad kya hai jo sham-e-turbat bujha rahi hai farishte aae agar lahad mein to saf kah dunga rasta lo jab us ki chahat mein jaan de di to baat kahne ko kya rahi hai jamal-e-qudrat mujhi ko de de ki main kaleje ki chot sekun kalim ke ghar mein rakkhe rakkhe wo aag ab kya bana rahi hai