mahtab hai na aks-e-rukh-e-yar ab koi kate to kis tarah ye shab-e-tar ab koi mumkin hai dast-o-bazu-e-qatil to thak bhi jae shayad thame na dida-e-khunbar ab koi ahl-e-jafa se kahna tarashen salib-o-dar shayan-e-sarw-qamat-e-dil-dar ab koi har ahd mein agarche raha jurm harf-e-haq shayad na aae hum sa gunahgar ab koi han ai junun 'sarmad'-o-'mansur' ko nawed is dhaj se aaega na sar-e-dar ab koi shahr-e-hawas mein qadr-e-wafa tere dam se thi is jins ka nahin hai kharidar ab koi ai kaj-kulah-e-abla-payan-e-rah-e-shauq shayad hi gul khilae sar-e-khar ab koi jitna lahu tha sarf-e-qaba ho chuka tamam ku-e-wafa mein aae na zinhaar ab koi