suni har baat apne rahnuma ki

suni har baat apne rahnuma ki
yahi ek bhul hum ne bar-ha ki

hui jo zindagi se ittifaqan
wahi bhul us ne phir ek martaba ki

mujhi mein gunjti hain sab sadaen
magar phir bhi hai khamoshi bala ki

har ek kirdar mein dhalne ki chahat
matanat dekhiye bahrupiya ki

azal ke peshtar bhi kuchh to hoga
kahan phir had milegi ibtida ki

talatum hain mere meri hain lahren
mujhe kyun justuju ho nakhuda ki

hamare sath ho kar bhi nahin hai
shikayat kya karen us gum-shuda ki

har ek aahat teri aamad ka dhoka
kabhi to laj rakh le is khata ki

sarapa hae us nazuk badan ka
koi taswir jaise apsara ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close