hamara zikr dushman ki zabani dekhte jao fasana ban gai sari kahani dekhte jao zara ek chhed do zahid se qisse hur-o-ghilman ke phir us kam-bakht ki rangin-bayani dekhte jao tapak le khun armanon ka aankhon se zara thahro meri lutti hui rangin jawani dekhte jao kamal-soz gham-ha-e-nihani dhundne walo maal-e-soz gham-ha-e-nihani dekhte jao bahut charche the yaron mein meri jadu-bayani ke huzur-e-dost meri be-zabani dekhte jao