jit bhi jaenge aamada-e-paikar to hon

jit bhi jaenge aamada-e-paikar to hon
hum ulajhne ke liye waqt se tayyar to hon

khud-shanasi to chalo thahri bahut dur ki baat
apne kirdar se hum log khabar-dar to hon

maqsad-e-zist zara tu hi sada de un ko
tujh se ho ke jo alag hote hain bedar to hon

dhup ab tak to munderon pe chadhi baithi hai
us ke aangan mein utar aane ke aasar to hon

aisa mushkil to nahin tod ke tare lana
aasman par shab-e-furqat mein numudar to hon

pas-e-manzar bhi bahut kuchh hai magar hum nazren
in nazaron se hata lene ko tayyar to hon

maut kahte hain har ek dukh ki dawa hai 'rahat'
mar ke bhi dekhenge hum jine se bezar to hon


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close