gila hai na ab hai shikayat kisi ki

gila hai na ab hai shikayat kisi ki
maza de gai wo nadamat kisi ki

khapi jati hai phir bhi aankhon mein kya kya
yuhin si hai gul mein shabahat kisi ki

qayamat hai kis tarah bardasht hogi
mohabbat ke badle mohabbat kisi ki

azal ibtida hai abad intiha hai
na puchho asiri ki muddat kisi ki

nahin aur kuchh khuld-o-dozakh ka mansha
wo duri kisi ki ye qurbat kisi ki

nigahon mein hai zahr honton mein amrit
hayat-o-ajal hain karamat kisi ki

gham-o-ranj-o-hirman-o-dard-e-judai
mila hum ko kya kya badaulat kisi ki

kaleje se kyunkar lagae na rakkhun
fishani hai dagh-e-mohabbat kisi ki

adaon ne mara hua nam ajal ka
hai tohmat kisi par shararat kisi ki

har ek bar man man ke wo ruthte hain
bigadti hai ban ban ke qismat kisi ki

shikast-e-khudi ka suhana wo naghma
wo uzr-e-taghaful mein luknat kisi ki

judai ko muddat hui phir bhi ab tak
nigahon mein phirti hai surat kisi ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close