jab phul chubhe dil mein tab Khaar ko kya kahiye

jab phul chubhe dil mein tab khar ko kya kahiye
marham ne kiya zakhmi talwar ko kya kahiye

hamdard nigahon ne dil aur bhi tadpaya
darman ne ghazab dhaya aazar ko kya kahiye

izhaar-e-tamanna par mubham si nigahon ke
iqrar ko kya kahiye inkar ko kya kahiye

aalam jo tera dekha naseh bhi hua shaida
diwana to diwana hushiyar ko kya kahiye

tadbir ka hai dushman taqdir ka barham-zan
is dard-e-mohabbat ke aazar ko kya kahiye

is fitna-e-dauran ki jo baat hai aafat hai
raftar ko kya kahiye guftar ko kya kahiye

un shokh nigahon ka har war qayamat hai
is war ko kya kahiye us war ko kya kahiye

ghanghor ghataon ka unwan-e-karam tauba
zahid bhi bahakta hai mai-khwar ko kya kahiye

makhmur nigahon ki allah re mai-rezi
hushiyar bhi hai be-khud sarshaar ko kya kahiye

aazar-e-mohabbat ki duniya hai ajab duniya
achchha bhi nahin achchha bimar ko kya kahiye

dil chhin ke gham bakhsha sar le ke diya sauda
is husn-o-mohabbat ki sarkar ko kya kahiye

har raaz-e-nihan aakhir ghammaz se kah dala
khamosh nigahon ki guftar ko kya kahiye

ta-mai-kada rindon mein jo dast-ba-dast aae
us jubbe ko kya kahiye dastar ko kya kahiye

duniya ki nazar mein tum masum sahi lekin
paiman-e-mohabbat se inkar ko kya kahiye

hai us ki jawani par khud wajd jawani ko
mai aap bahakti hai mai-khwar ko kya kahiye

in ishwa-taraazon ka un mast-khiramon ka
rukna bhi qayamat hai raftar ko kya kahiye

tauba ka bharam rakhna iman tha 'sarosh' apna
saqi ki nigahon ke israr ko kya kahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close