gila kaisa koi pardes mein apna nahin hota kisi sahra mein sar par pedon ka saya nahin hota hai apni zist ki mitti ki kuchh tasir hi aisi ki is ke bagh ka koi bhi phal mitha nahin hota bari ho jati hai ek bhid apne sab gunahon se isi ek baat se ki bhid ka chehra nahin hota tumhaari bazm mein kya kaam hai hum jaise logon ka jahan patthar hi patthar hon wahan shisha nahin hota khasare ishq ke batlao par ye bhi to batlao wo hai kya kaam ki jis mein koi khatra nahin hota hamare panw ki bedi hamari soch hoti hai koi patthar hamari rah ka roda nahin hota koi kuchh bhi kahe lekin ye bhi apni jagah sach hai kisi par shak koi yunhi kabhi paida nahin hota mukammal chand par jaane ka sapna ho gaya kab ka mohabbat ka hi sapna jaane kyon pura nahin hota parinde puchhte phirte pata kyunkar ke pinjron ka agar kuchh aasmanon mein inhen khatra nahin hota nikalti hai sada kadwi se kadwi baat hi jin se unhin lab ka diya bosa kabhi kadwa nahin hota hamare dil ke junction par mohabbat nam hai jis ka kabhi ghalati se bhi us train ka rukna nahin hota muafi mang kar hairat mein dalo mat hamein 'balwant' yahan apne kiye par koi sharminda nahin hota isi khatir main dushman ki kabhi ginti nahin karta mujhe malum hai ke bhid ka chehra nahin hota miyan farhad-o-majnun se to aashiq aaj ka achchha kam-az-kam ishq mein ab jaan ka khatra nahin hota