jism se dur the ki lat bhi to lag sakti thi hum ko is khel ki aadat bhi to lag sakti thi jab gale mere musibat hi koi lagni thi to gale se ye mohabbat bhi to lag sakti thi un ko har haal mera qatl tha karna warna mere iman ki qimat bhi to lag sakti thi kam se kam nam nadamat se na len bachche mere mujh se aisi koi tohmat bhi to lag sakti thi saikdon bar lagi hath ye gham ki daulat ek dafa hath masarrat bhi to lag sakti thi dosti tum se badhane mein ye khatra tha mujhe dosti tum ko mohabbat bhi to lag sakti thi jaise duniya ki tumhein aab-o-hawa ras aai tum ko achchhi meri sohbat bhi to lag sakti thi main ne is dar se bulaya nahin milne tanha tum ko khoti meri niyyat bhi to lag sakti thi