gila kis se karen aghyar-e-dil-azar kitne hain hamein malum hai ahbab bhi gham-khwar kitne hain sakat baqi nahin hai qum be-iznillah kahne ki masiha bhi hamare daur ke bimar kitne hain ye socho kaisi rahon se guzar kar main yahan pahuncha ye mat dekho mere daman mein uljhe khar kitne hain jo sote hain nahin kuchh zikr un ka wo to sote hain magar jo jagte hain un mein bhi bedar kitne hain bahut hain muddai sach ki taraf-dari ke ai 'zahid' magar jo jhut se hain bar-sar-e-paikar kitne hain