har ehtimam hai do din ki zindagi ke liye sukun-e-qalb nahin phir bhi aadmi ke liye tamam umr khushi ki talash mein guzri tamam umr taraste rahe khushi ke liye na kha fareb wafa ka ye bewafa duniya kabhi kisi ke liye hai kabhi kisi ke liye ye daur-e-shams-o-qamar ye farogh-e-ilm-o-hunar zamin phir bhi tarasti hai raushni ke liye kabhi uthe the jo khurshid-e-zindagi ban kar taras rahe hain wo taron ki raushni ke liye sitam-taraazi-e-daur-e-khirad khuda ki panah ki aadmi hi musibat hai aadmi ke liye rah-e-hayat ki tarikiyon mein ai 'zahid' charagh-e-dil hai mere pas raushni ke liye