haram ki rah mein saqi ka ghar bhi aata hai safar mein lamha-e-tar ki safar bhi aata hai tujhe ki parda-nashin ye hunar bhi aata hai nazar bhi aata nahin aur nazar bhi aata hai dabi dabi si zaban mein ye puchhna qasid kabhi khayal mein aashufta-sar bhi aata hai tumhaari baat hai kuchh aur yun to aane ko gharib-khane pe aksar qamar bhi aata hai ghamon ki sham hai be-shak magar udas na ho ba-shakl-e-sham payam-e-sahar bhi aata hai meri tabahi ka bais mera nasib sahi magar ye harf teri zat par bhi aata hai jawab-e-khat ki to ummid 'ehtisham' kuja ye dekh laut ke paighambar bhi aata hai