tujh se mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost tu meri pahli mohabbat thi meri aakhiri dost log har baat ka afsana bana dete hain ye to duniya hai meri jaan kai dushman kai dost tere qamat se bhi lipti hai amar-bel koi meri chahat ko bhi duniya ki nazar kha gai dost yaad aai hai to phir tut ke yaad aai hai koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost ab bhi aae ho to ehsan tumhaara lekin wo qayamat jo guzarni thi guzar bhi gai dost tere lahje ki thakan mein tera dil shamil hai aisa lagta hai judai ki ghadi aa gai dost barish-e-sang ka mausam hai mere shahr mein to tu ye shishe sa badan le ke kahan aa gai dost main use ahd-shikan kaise samajh lun jis ne aakhiri khat mein ye likkha tha faqat aap ki dost