yunhi nahin hum bolte jate ye apni majburi hai junhi kuchh kah chukte hain lagta hai baat adhuri hai sab apni afwah bane hain asl mein kya the bhul gae jine ki jo surat hai so ye bhi aaj zaruri hai duniya meri zindagi ke din kam karti jati hai kyun khun pasina ek kiya hai ye meri mazduri hai apne baad hi duniya mein thahrao jo aae to aae jab tak hum zinda hain tab tak har ek daur uburi hai dhund rahe hain kis ko log shikari jaisi nazron se saf-dar-saf maujud hun main to har ek saf to puri hai sab ek dusre ko nazron se bas ye dilasa dete hain hain to hum sab pas hi bas andar ki ye ek duri hai itni sari aawazon mein shayad sunne wale ko bas itna hi yaad rahega meri baat zaruri hai koi bahana mil jae to hath nahin hum aane ke der ye hai chal dene mein tayyari to puri hai 'talkh' hamare hosh ke aalam ka hai rang-e-sukhan kuchh aur jis par wajd mein hai ek duniya wo to ghair-shuuri hai