girta raha main rah mein lekin sambhal gaya main aaj kis maqam ki jaanib nikal gaya socha kiya tha rah ye aasan hai magar pahle qadam pe panw mera kyun phisal gaya adna sa ek fareb tha badla jo ye libas aafat to tab padi ki main jab khud badal gaya aankhen thi sharmsar kahin chain bhi nahin us ke magar khayal se ye dil bahal gaya ho gar khata saza ka muqarrar hai ek din 'naqid' zahe-nasib ki wo waqt tal gaya